Page

Friday 5 July 2013

Jaana Pehchana sa...

Bheed ki khamoshi ko todta hua
hawa sa behta hai jis ka akx
wahi hai wo jaana pehchana sa shaks

jise paya h mein ne har aahat mein
sune hai jis ke lafz kaan ki choti si baali ne
tohfa deti jis ki hasi ko dekha h mere aangan
ke amrood, sehtoot aur nayi si dhup ne

Kho gya h jane kyn kahi
waada to tha k na hoga ye kabhi
kashti sa jata wo waada bhi ab to yaad aata nhi

intezaar bhi ab dustak nhi deta darwaze pe
mein he baithi hu ke pura kr jaye wo
apna adhoora waada kabhi....

No comments:

Post a Comment