Page

Sunday 29 March 2015

Adhoora mera naam

kagaz ke ek kone par
adhoora likha hua mera naam
andekha kar yun palat diya tumne

jaise sagar ki gehrayi ko chu kar
guzarne wali koi benaam lehar ho
jo aati to sagar ke beech apna basera banana
par panah kaha pati hai…..

jaise kisi kavi ki aprakashit
sharmsar hui rachna
likhi to wo bhi gayi usi anubhavi kalam se
par zikr kaha pati hai….

Mano kisi chitrkaar ki bemel rango se saji
Koi adhoori si pari-kalpana
Jo puri hone ki umeedein lgati
Par upekshit he reh jati hai…