waqt ke paidaan pe rakh apne kadam
kuch dur nikal aaye h hum
duri jo chahte the hamesha
tumse, unse, un sub he se
kaha kaha khoja hoga humein
ya kahe to kaha nhi dhundha hoga
jante to wo bhi hai k mushkil h mil pana
par hum kaise kahe k na chaha humne
Ab kabhi laut aana....
boli sun pehle ki tarah na bhage aayenge
na kabhi puri raat khidki k kinare baaton mein bitayenge
ek pathik ban vishraam bhi na krenge tumhare aangan
sochoge jub jub hamare baare mein tum, wo aur sub
sirf ek muskaan ka vaada krte h
sada usi mein nazar aayenge
Aage badhe kadam h jo humare
sochte h ab aur aage jayenge

No comments:
Post a Comment