Page

Friday 23 November 2012

Sagar ke Do Kinare



Sagar k do kinare Alag alag ukta gye jub
Socha ki mil jaye kabhi gar

Bol pada fir ek kinara

Suraj uge h mjhse bhai, dhale h tumhare aangan mein
Mil jayenge to kaha se aau kaha ko jau
Isi bhram mein rehjayega, hamara saamna na kr payega
Din raat ka bhed fir kisi k samjh na aayega

Ekta mein he hai shakti soch dono ne bal lagaya
Kisi tarah paani se lad apne lakshya to paya
dekh achambhit reh gyi prakarti khne lgi unhe moorkh
kintu unhe kaha thi parwah wo to the mad mein choor

suraj aaya niyat samay pe, dhala b sahi waqt
vichlit ho apni haar se lage puchne iska arth
suraj bola kaha kabhi rukta h samay, ye chalta h anwarat
koshish jo gyi h bekar us se lo tum sabak
kudrat k niyam na todo kabhi mat kro apne par ahankar

saath reh k b na milne ka jo niyam h tumhara
ise karo mann se sweekar

No comments:

Post a Comment