Abhi kuch roz pehle he
Ye ajeeb si baat hui
Ki jane wale lamhe se kuch yun mulaqat hui
Jub tha wo jane ki behadd jaldi mein
Aur roka mein ne usko, ruka to
Par mann na tha uska
Kehne laga ab jane do,
Chodo ab jub wo baat gayi
Tum dono ke beech ke wo
Na fursat ke din h, na meethi si raat rahi
Hairaan sa hote hue jub toka mein ne
Par jate kaha ho, hum yahi to hain
Dekho to pehle jaise he
Hass kar humpe, hamare badalne ka andaz kuch yun baya kiya
usne
Gayi kaha wo nadaaniya jo hoti thi chidhane ko
Ab to haste ho to bhi lagta hai mano khushi nhi jatane ko
khali sa jo glass
rhta hai pada kisi kone mein
Wo bhi ab to bhul gya ki rehte ho tum bhi isi ghar mein
Sooni si balcony jise mila krte thi wo gulaabi raatein
Rehti hai ab intezaar mein koi ek baar use bhi pukaare
Takiye jo kabhi karte the pyaar ki takraar
Ab bhoj hai unpe karwate badalte do ajnabiyo ki raat
chakit dekh mujhe fir bola wo
Sun liya bahut ya ab bhi kuch sun na baaki h
Jee kar dekho wo samay fir se
Shayad fir lage pata ki lamhe zindagi se nhi milte
Lamho se zindagi banana baaki hai
No comments:
Post a Comment