Page

Thursday, 11 September 2014

Jab “Yun He…” hum the


Yun he subah ke chaddar se jub dikhte the
Aasma pe bane hue wo nishaa
Baya kare jo tute taro ki dastaan
Unse he to sikhe hum jakhm le kar, dawa se rooth jana

Yun dopahar mein khidki ke kone se suni humne
Girti sambhalti un boodo ki kahaniya
Jo jati thi kisi seep mein dhundhne apna aashiya
Kehti gyi humse pyaar mein khud na hokar bhi usko pana

Khushnuma shaam ko yun he khali se ho kar baithe hum
Hawa jo aati thi zara si nami liye
Us ke he bhatke jhoko ne sikhayi aisi awargi
Ki bhul baithe hum bhi apna-sa lagne wala jahaa

Yun he jub raat ki bhi koshish hoti thi sulane ki
chand ki roshni jo aati thi har raat aangan to lagane gale
kuch is tarah gungati thi wo intezaar ka afsana
sikh gaye fir hum bhi sukhe hue aasuyo ke nishaa mitana….

Ye jo har ghadi tum puchte the hamara haal
Us muskurahat k taale mein bandh hui meri aawaz
kis tarah kehti dil ko lagi thes ka wo bhula sa kissa
“yun he”…nhi de pati thi koi jawaab

No comments:

Post a Comment