Page

Wednesday, 26 June 2013

To fir...Kaise na ho "Umeedein"

duniya hai kayam jis par
saath de jo har mushkil waqt par
din si chadti, chand si ghat ti
rahe umeed saath mein har pal

khud se karo to himmat badhaye
karo dusro se na ise tum
kya khabar kub toot jaye
saath wahi tak rakho
jaha ye umeed jeevan path par aage badhaye

roko kitna bhi aane se ise
kone mein baith kahi ye
lukka chuppi sa khel dikhaye
aa kar bhi puri na ho kabhi
bina lagaye he puri ho jaye

socha krti hu hamesha
na lage ye umeed kabhi kisi se
lekin hai ye prakash kiran si
bina kahe he aa jaye

Na-umeedi ke sagar mein
chahe jitni pher lgaye
mann bhi prem vash ho premi sa
Umeed ke he saath jaye









No comments:

Post a Comment